Saturday, September 4, 2010

डरते हैं !

ब्लॉग पे एक लम्बा मौन तोडने का प्रयास है;
नीचे लिखी चंद पंक्तियों को आपकी आह वाह की आस है!

Darte hain na saaqi ko hum dildar bana lein,
May ko na gham-e-dil ka charagar bana lein!!


Basti se jo gujra toh musafir ne ki hasrat,
hum bhi thaher ke apna ek ghar-baar bana lein,

Hai chuk gaya insaan ke dil se khuda ka noor,
kehne ko rahe buth chalo do chaar bana lein,

De do sabhi ke haathon main kalam-o-kitaabein,
Julm-o-sitam se ladne ka hathiyaar bana lein,


Ta umra bawafa rahin hain humse "ranjan"
mayoosiyon ko hi na kyon hum apna yaar bana lein!!