Sunday, March 7, 2010

Tumne kyon behka diya!

Phir milan ka geet ga kar,
tumne kyon behka diya!

tha main akela,
phir dikha wo najare,
aaj kyon behka diya

thokarein khata chala tha,
main nirash hi dhala tha,
daman tumne thaam kar,
aaj kyon behka diya

jindgi roothi hui thi,
aas bhi toti hui thi,
chand pyaare phool lakar,
chaman ko mehka diya

phir milan ka geet ga kar,
tumne kyon behka diya!

1 comment:

  1. ranjan bhai..kis launde ki judaai mein likhe ho ye rachna??..badi sateek hai waise..

    ReplyDelete